Group Hero

कविता

2,30,139 मेम्बर

यदि आप कवि हैं और आपको यह पता भी नहीं है

समूह साझा करें
Wasim P.

@Wasim_Patwari

२ दिन पहले

"Tu Hi Bata"

Thoda sochu fir ek baat likhu,
Jazbaat likhu ya halaat likhu.

Tere ishq ko apne saath likhu,
Ya mere haathon mein tera haath likhu.

Tujhe dekhun fir ek baat likhu,
Tareef likhu ya fariyaad likhu.

Tere piche khud ko aabaad likhu,
Ya tanhaayi mein khud ko barbaad likhu.

Tujhe din ya khud ko raat likhu,
Tu hi bata aaj kaunsi baat likhu.

  • -Wasim Patwari
शेयर करना
Wasim P.

@Wasim_Patwari

५ दिन पहले

Ijjat or pyaar ❣️🤞
Jab pyaar hota hai na, tabhi log jhukte hai, rote hai , maafi maangte hai, manaate hai.

warna izzat to sabko apni pyaari hoti hai !!!

शेयर करना
Anas Khan

@AnasKhan42

७ दिन पहले

Konsi baat khaa, kese kahi jaati hai,
Ye Salika ho to har baat suni jati hai.

शेयर करना
Farzan Khan

@farzankhan1

७ दिन पहले

Fir mujhe !!

"Tere siwa, Tere jaisa, Teri Tarha, Teri jagah aur koi bhi nhi chahiye!!!

Nahi chahiye mujhe koi teri tarha mujhe naam se pukary, Nahi chahiye mujhe teri jagah koi aur bhi jo mujh pr apna haq jataye

Chahiye toh mujhe tu..Sirf tu aur koi nhi,
Chahiye toh mujhe sirf tera pyar, Teri khushboo, Tera ehsaas, Teri hasi, Teri har khushi, Tere
gham, Tere aansu, Tere saare dukh...

Aur iske siwa mujhe Tere jaisa, Teri tarha, Teri jagah, Tere bagair aur kuch bhi nahi chahiye!!!

शेयर करना
SR

@r1918

१० दिन पहले

Dulhan Bankar intezaar kiyaaa baaaraat ke aane kaaa.

Baraat kaa intezaar kartekarte, kisi aur ke baaratii bank gaye🤫

6 लाइक
2
शेयर करना
Bj

@ALL_EYES_ON_ME

११ दिन पहले

Maine kaha wo ajnabi hai
Dil ne kaha ye dil ki lagi hai..
Maine kaha wo sapna hai
Dil ne kaha phir bhi apna hai..
Maine kaha wo do pal ki mulaqat hai
Dil ne kaha ye sadiyon ka saath hai..
Maine kaha wo meri bhool hai
Dil ne kaha phir bhi kabool hai...
Maine kaha wo meri haar hai
Dil ne kaha yahi to pyaar hai...

1 लाइक
शेयर करना
Bj

@ALL_EYES_ON_ME

११ दिन पहले

Log kehte hai jo apna hota hai
wo laut kar zarur aata hai
Na rakh Umeed-e-wafa kisi parinde se jab par nikal aate hai apne bhi Aashiyana bhool jate hai!

1 लाइक
शेयर करना
Wasim P.

@Wasim_Patwari

१९ दिन पहले

Sabr (Patience)

Ek achaa rishta nibhane ke liye "Sabr" sabse zaroori hai.

Sabr ka matlab sirf intezaar karna nahi hota, balki sahi waqt par Rab ke faisle par bharosa rakhna hota hai.

Har rishta apne waqt par mukammal hota hai. Jaldbaazi aksar rishton ko kamzor karti hai, jabki Sabr unhe mazboot banata hai.

Agar koi insaan aapke naseeb mein likha hai, to na doori use badal sakti hai, na der use chheen sakti hai.

Isliye shikayaton se zyada dua karein, bechaini se zyada yaqeen rakhein, aur har haal mein Rab par bharosa rakhein.

Kyunki sachchi mohabbat ki pehchaan, Sabr hai... aur Sabr hi uski jaan hai. ❤️

media
शेयर करना
गुमनाम

२० दिन पहले

Bolo

1 लाइक
शेयर करना
Zoya Khan

@Zoyakhann

२६ दिन पहले

Har raat ka ek subah hota hai,
Aur har imtihaan ke baad ek aasan raasta.
Jo aaj tumhare sabr ko aazma raha hai,
Ho sakta hai wahi kal tumhari sabse badi taqat ban jaaye.
Isliye dua bhi karte raho,
Aur mehnat bhi.

8 लाइक
2
शेयर करना